Samsung Mobiles Ka Data Backup And Restore Kaise Kare
Dosto is post me ham Samsung Mobiles Ka Data Backup And Restore Kaise Kare kaise karte hai iski jaankari hasil karenge. Android phone me backup aur restore kaise karte hai? Yeh janna sabhi android user ke liye bahut jaruri hota hai.
Na jane kab hamare phone me kuch pareshani aajaye aur sara data khona pade, yeh kaha nahi ja sakta. Maan lijiye apke phone se sabhi contact list delete ho jaye ya pura message hi gayab ho jaye to aap soch sakte hai apko kitni taklif hogi, kyuki yeh hamare liye bahut jaruri data hota hai.
Isliye aaj ham janenge ki phone ka All Data Backup & Restore kaise karte hai. Aap all data ka backup kar sakte hai aur use apne new mobile ya phir usi phone me restore bhi kar sakte hai.
टेक्नो (Tecno) मोबाइल फ़्लैश करना सीखें
Hamare phone me kai sare jaruri data hote hai jaise - contact, message, call log, apps etc. Yeh sara data hamare phone me hi store hota hai jisse agar ham apna phone ko reset karte hai to hamara sara data chala jata hai.
Agar hamara phone goom jaye ya chori ho jaye ya kharab ho jaye ya phir ham naya phone lete hai to aise me yeh phone ka backup hamare liye sabse jyada madadgar hota hai.
Agar apke pass Samsung ka mobile hai to Find My Device Setting Enable karke apne phone ko chori hone se bachaye.
Backup kayi tarha ka liya jata hai jaise hum video, photo, songs ityadi ka backup karte hai lekin dosto yeh sara data hamare liye utna jaruri nahi hota hai jitna ki hamare phone me kiye gaye message, call, contact number aur phone ki setting hoti hai.
Video, photo, songs to ham delete hone ke baad bhi kai se le par agar hamne apne phone ka backup nahi liya hoga to phone ki data delete hone ke baad ham use wapas nahi la sakte hai.
Video, photo, songs ityadi ka to backup lena bahut asaan hota hai. Ham chahe to ise kahi par bhi backup le kar rakh sakte hai aur agar phone ki data jaise - contact, message, call log, apps ka backup lena ho to ham sochne lagte hai ki iska backup kaise liya jaye, kyuki I'm sab ka backup karne ka option hamare phone me ata hi nahi hai. Dosto is post ko padhne ke baad aap badhi asaani ke sath phone ki har data ko backup kar payenge.
Samsung Mobiles Ka Data Backup And Restore Kaise Kare
1. Sabse pahle to niche diye gaye link par click kariye aur google play store se samsung smart switch ko install kare.
2. Install ho jane ke baad open kare aur upar me bane SD Card ke icon par click kare. Aap chahe to yaha se phone ka backup kisi bhicomputer ya laptop me le sakte hai par mein apko pendrive me backup lene ke bare me jankari de raha hu.
3. Sd Card ke icon par click karte hi apke samne ek popup window open hokar ayega jisme SD Card par click kariye aur agar apko pendrive me backup lena hai to usb storage par click kar dijiye.
4. Ab apka USB Storage open hoga jisme agar apne pahle se kabhi backup karke rakha hoga to restore aur backup karne ka option ayega aur agar backup nahi kiya hoga to sirf backup ka option ayega. Aap yaha par backup par click kar dijiye.
5. Iske baad apke phone me kitna data hai aur use backup karne me kitna samay lagega yeh sari jankari apke samne aa jayegi. Aap yaha se apne phone ke kisi bhi data ka backup le sakte hai.
Ab apko jis-jis ka backup lena hai use mark kariye jaise ki contact, message, call log, setting, apps ityadi mark karne ke baad niche diye gaye backup par click kar dijiye.
Backup par click karte hi phone ka backup hona shuru ho jayega. Ab apko kuch der wait karna hoga. Phone ka sara data backup ho jane ke baad apke samne ready to go ka message ayega aur niche done ka option hoga. Apko bas yaha done par click kar dena hai.
Samsung Mobile Ka Data Recover Kaise Kare :
Dosto agar apne koi naya phone liya ho ya phir purane phone ko reset kiya ho aur aap chahte hai ki apka purane phonewala sara data is phone me aajaye to apko data restore karna hoga.
Data restore karne ke liye apko upar bataye gaye step ko hi follow karna hai. Apko keval step 4 me bataye gaye backup ke jagah restore par click kare.
Iske baad apka Data Restore hona shuru ho jayega aur sara data restore ho jayega to done ka option aayega usme apko bas done par click kar dena hai. Apka backup kiya hua sara data restore ho jayega.
Conclusion
Yeh Samsung Mobiles Ka Data Backup And Restore Kaise Kare apko kaisi lagi yeh hame comment box me comment karke bataye.
Sath hi yeh articles accha laga ho to ise apne social media par share karna naa bhule.
Is article se related koi question ho to hame comment box me comment karke bataye.
ಸಾಮಾನ್ಯ ಕನ್ನಡಿಗಅಡ್ಮಿನ್
ಸ್ನೇಹಿತರೆ ನಮಸ್ಕಾರಗಳು, ನಾನು ಸಾಮಾನ್ಯ ಕನ್ನಡಿಗ ನಿಮ್ಮ ಸೇವೆಯಲ್ಲಿ. ಬದುಕಲು ದುಡಿಮೆಗೆ ಬೇಕಾಗುವ ಉಪಯುಕ್ತ ಮಾಹಿತಿಗಳನ್ನ ಕನ್ನಡದಲ್ಲಿ ಕೊಡುವ ಆಸೆಯನ್ನು ಹೊತ್ತು ಬಂದಿರುತ್ತೇನೆ. ಇಂದು ಇಂಟರ್ನೆಟ್ ಮೂಲಕ ಮನೆಯಿಂದಲೇ ದುಡಿಯುವ ಹಲವಾರು ದಾರಿಗಳಿವೆ ಹಾಗು ಅದನ್ನ ಜನರಿಗೆ ತಿಳಿಸುವ ಕೆಲಸ ಅನ್ಯ ಭಾಷೆ ಯಲ್ಲಿ ಹಲವಾರು ವಿಡಿಯೋ ಗಳು ಹಾಗು ಬರಹಗಳಿವೆ ಆದರೆ ಕನ್ನಡದಲ್ಲಿ ಇದ್ದೂ ಇಲ್ಲದಂತಿದೆ ಹಾಗಾಗಿ ಕನ್ನಡದಲ್ಲಿ ಕನ್ನಡಿಗರಿಗಾಗಿ ಈ ನನ್ನ ವೆಬ್ಸೈಟ್ ಹಾಗು ಯೂಟ್ಯೂಬ್ ಚಾನೆಲ್ ತಂದಿದ್ದೇನೆ, ಇದರ ಮೂಲಕ ಕನ್ನಡಿಗರು ಅನೇಕ ಉಪಯುಕ್ತ ಮಾಹಿತಿ ತಿಳಿಯಬಹುದು ಹಾಗು ದುಡಿಯಬಹುದು. ನಿಮ್ಮೆಲ್ಲರ ಆಶೀರ್ವಾದದೊಂದಿಗೆ ಹಾಗು ಸಹಕಾರದೊಂದಿಗೆ ಮುಂದುವರೆಯಲು ಇಚ್ಛಿಸುತ್ತೇನೆ, ದಯವಿಟ್ಟು ಸಹಕರಿಸಿ ನಿಮ್ಮ ಸ್ನೇಹಿತರೊಡನೆ ಹಂಚಿಕೊಳ್ಳಿ.
ConversionConversion EmoticonEmoticon